Khirkee Se

Us Khirkee Se Dekhun To, Mujhe Aaj Bhi Tumhara Intajaar Hai, Woh Seedhi Sarak, Woh Gaari Park Ki Jagah, Vahan Abhi Bhi Tumhari Pyari Dilruba Ka Number Likha Hai. Us Khirkee Se Dekhun To Tum Aaj Bhi Bahut Bade Dikhate Ho, Virat, Saral, Sushil Svabhav Wale, Kuchh Sharmiley, Bahut Sehansheel, Kushiyan Bikherte, Sabse Behtar, Mahsoos Hote Ho. Us Khirkee Se Dekhun To, Tumhara Khushnuma Chehra, Chhoti Chhoti Mulakaton Mein Bade Asar Chor Jane Ka Jazba, Yaad Aata Hai. Us Khirkee Se Dekhun To, Achanak Tumhara Vapis Bachha Ban Jana, Pehchani Chahaton Ka Toot Jana, To Apno Se Rooth Jane Ka Ahsaas Hojata Hai. Us Khirkee Se Dekhun To, Sab Doston Ki Dooriyon Ka Gam Samne Aa Jatahai, Musibat Me Kaun Apna Kaun Gair Janleneka, Dukh De Jata Hai. Us Khirkee Se Dekhun To, Tumhara Mujeh Bahar Dekh Lena Aur Bachhe Ki Tarhan Tali Bajakar Darwaze Par Pahunchjana, Ruaansa Sa Kar Jata Hai. Us Khirkee Se Dekhun To, Bahut Log Ekattha Huye Dikhte Hain, Tumhari Akhiri Vidayee Ka Jata Karwan, Hum Mein, Mujhe Akela Chhor Jata Hai. Us Khirkee Se Dekhun To, Tumhara Dill Dikhayee Deta Hai, Bahut Pyar, Aadar – Doston, Amma-Abba, Sab, Ke Liye Panapta, Barasta, Khilta Hai. Us Khirkee Se Dekhun To, Kuch Sakuche Se, Bachte Huye, Koi Apne Bhi Dikhayee Detehain, Jo Hume Apna Na Paye, Apne Aapki Chaahat Mein. Us Khirkee Se Dekhun To, Tum Garv Mehsoos Karte Dikhte Ho, Aaj Bhi Mujhe Protsahit Karte, Mere Kartavyon Ki Purti Par Khush Hote. Us Khirkee Se Dekhun To, Tum Hee Tum Ho Chand Sitaron Mein, Aasman Mein, Mere, Aur Tumhare, Sare Jahan Mein. Us Khirkee Mein Khari Hun Mein Aajbhi, Meri Jaan Tujhmein Basti Hai Meri Jaan, Aaj Bhi. Bahut Pyaar Tumtak Pahuncha Doon Mein Yahan Se… Us Kirkee Se Dekhun To…

Poetry By — Mira Muni

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *